Thursday, September 30, 2010

Jagjit Singh - Kahin Door Jab Din




Kahiin duur jab din Dhal jaae
SaaNjh kii dulhan badan churaae
Chupake se aae

Mere Kayaalon ke aangan mein
Koi sapano ke diip jalaae, diip jalaae

Kahiin duur ...

Kabhii yuuNhiin, jab huiin, bojhal saaNsen
Bhar aaii bethe bethe, jab yuuNhiin aaNkhen 2x

Tabhii machala ke,
pyaar se chhala ke
Chhue koii mujhe par
nazar na aae, nazar na aae

Kahiin duur ...

Kahiin to ye, dil kabhii, mil nahiin paate
Kahiin se nikal aae, janmon ke naate
Ghanii thii uljhan, bairii apne man
Apne hii hoke sahe dard paraae, dard paraae
Kahii.n duur ...

Dil jaane, mere saare, bhed ye gahare
Ho gae kaise mere, sapane sunahare
Ye mere sapane, yahii to hai.n apane
Mujhase judaa na ho.nge inake ye saaye, inake ye saaye
Kahii.n duur ...

No comments:

Post a Comment